Smiley
Smiley
Woh tera tabassum aur main
waqfiat bahut ho chali
har subah uskay intezaar mein
zindagi guzar chali
Smiley
Woh tera tabassum aur main
waqfiat bahut ho chali
har subah uskay intezaar mein
zindagi guzar chali
Tishnagi
Beshumaar fasal-e-gul guzree magar
yeh meelon sa falak
tunay kahan mehfooz rakha
jis say main bhi wabastah nah tha
kal shab
bahut der ik jheel-e-aahistgi mein
main tairta raha
ik bekaraan si kirmich jis par main
unglion say …
Woh hai
Yeh ho nahi sakta ki woh ho nahi sakta
der ho zaroor par na ho, yeh ho nahi sakta
Ummeed pay dunya qaayam hai
mera yaqeen toote, yeh ho nahi sakta
Tujhe markaz-e-zeest …
Jab phir hon hum tum
Jab phir hon hum tum ru-ba-ru
mujhe apnay bahon mein gher lena
Muddat say bechain hun door hokar
ba-tawajoh phir jaan daal do ser lena
Andazah-e-kifaayat koi zaroori toh nahin
palken …
Faasla o sohbat
Tumnay kaha hamara mukhtalif hona qurbaton ka sabab tha
phir wahi baat aaj dooriyon ka sabab kyon banta jaa raha hai
Hum may ittefaq tha hamari bilashart ki sohbat ka
phir …
Khudbulandi ki rakh
Khudbulandi ki rakh jo mathay par numayaan hai
yeh vibhuti maine jism-o-jaan jalaakar kamayee hai
Kaamyabi ki shikan chehray par nazar nahi aati
har tajurbe ko raftani lamha samajhke tune nibhayee …
Dupatta
Kal ka tera
sabz o zard anchal
aur mera hu ba hu
usee rang ka jam
yun jaisay saqi ne
tera anchal nichodkar mera jam banaya ho
ya phir tu ne
usi rang e jam say
apna dupatta …
Tera bachpan
Tera bachpan bus chand ghadiyon ka hai
uthaoon lutf waqt jo pariyon ka hai
Kuch resham hai, kuch makhmal hai
tera har zarra mere liye ajmal hai
Dilfareb hai har harqat, pakeezgi khuda …
Kashmir ki subah
You look like a yogi in meditation – still, calm and tranquil
Yet at times, you look like a bewitching enchantress
Which of these two that I see is the …
Kuch toh hoon, shayad
Main ik apaar samundar hoon shayad
jiski gehraaiyon say main khud aparichit hoon
sehar ka surkh ufaq hoon kabhi
jiski bisat say main khud la-waaqif hoon
mujhse mera taroof nah pooch
main …