Jab phir hon hum tum
Jab phir hon hum tum ru-ba-ru
mujhe apnay bahon mein gher lena
Muddat say bechain hun door hokar
ba-tawajoh phir jaan daal do ser lena
Andazah-e-kifaayat koi zaroori toh nahin
palken moond char baras bahon men guzaar lena
Lautkar kambakht zamaaney mein jaana toh hai
in lamhaat men apni kaenat sanwaar lena
Tera beemar phir khushnuma ho jaaye
uske chehrey par jaadui-hatheli phir pher dena
Kab maine kaha tu mera khush-khayal nahin, lekin ‘Muasir’
dil ki tasalli ke liye ik parcha-e-saboot ger dena
No comments