Dayaar e dard se ab koi khabar nahi aati (place of pain)
Inteha ke baad bhi raahat nazar nahi aati
Koshish bhulane ki rahi ek muddat se magar
koi maqaam nahi jahan teri yaad nahi aati
Is qadar be-zaar faramoshi ki zad men lekin
Jaane kion hoton pe koi faryaad nahi aati
Har taraf detaa raha aawaaz teri talaash men
lautkar kahin se qata’i koi ek aawaaz nahi aati
Bayaan e tafseel ko koshaan rehta hai Muasir par
har kisi ko samajh uski gehri baat nahi aati
– Muasir
No comments