Koi chaya hi na tha
Meri hasti pay kabhi yun koi chaya hi na tha
sha’i-e tawajjuh bankar is qadr koi samaya hi na tha
Guzar rahi thi zindagi ek shahraah par aur
yeh bhanwar-e-junoon ab talak numaayan hi na tha
Aisa nahi ki tujhse pehle nashaad nah tha lekin
be-wajah ki udaasi mein kabhi dil ko paaya hi na tha
Har lamh-e-wisal ki queemat kya lagaoon aur kaisay
khuda ka aitraaf aisa laa’l-o-gauhar banaaya hi na tha
Tere harf-o-khayal ka sangam kabhi hua hi nahin
‘Muasir’ pehlay kabhi tu shaayar goyaa hi na tha.
No comments