Rahe jaaye toh achcha hai
Kuch khayal aisay hain jo zehan mein uthte hain
harf na niklay posheeda rah jaaye toh achcha hai
Aisa bhi nahin ki hum silsilewar jahan-e-faani mein aayen
gurezaan chod, khwahishen poora kar jaaye toh achcha hai
Tu mujhsay waaqif nahin par mera tujhsay gehra hai taalluq
izhar-e-tahseen ko mulaqat ho jaaye toh achcha hai
Dil-e-toghyani mein zindagi ke faislay munasib nahin
sailaab guzar jaaye, rawaani tham jaaye toh achcha hai
Kar lay har khwahish poori tu be-tawaqquf, ‘Muasir’
ya phir teri har tamannah mar jaaye toh achcha hai
No comments